Monday, May 07, 2012

कहानी ॰-बुराई मेँ अच्छाई kahani - burai main aachai

Kahani ka naam - Burai main achai
Parkar - Rochak Kahani, Manorjna tamak, Sikchapard.
Kahani no. - 1

hi readers meri pahli kahani (बुराई मेँ अच्छाई) hai.
Read it and send comments.
.
.
Bahut samay pahle kee baat hai. Sajjangarh kaa raja karura singh apne naam ke anurup hee bada hee karur aur atya chari tha. Boh apni parja par tarah tarah ke julm dhata tha aur unhe bebajha bandi bana leta tha, asamay hee kisaano se, dukaandaro se, vayapariyo se atyadhik kar vasool karta tha aur nahi dene par unhe bandi bana kar partadith karta tha. Ish parkaar raja ke atyacharo se tang parja apne raja se asantust rahti aur raja ko tarah-2 ki badduaen deti. Usi rajy mein ek sanyasi rahte the. Jine log pyar se, bhagtibhav se DEVA bulate the. Unhe bhi raja ne kai baar tang kiya, unki tapsaya ko bhang kiya, unke yaga aadhi karne par ankush lagaya. Partun unhone kabhi bhi raja ko bura bahlaa nahi kaha. Balki ve use har baar lambi aayu ka aashirvaad dete.

Parja DEVA (sanyansi) ke es vayavhar ko dekh kar aascharya karti kee raja en par atya-char karta hai aur ye raja ko dand or sharaap dene kee jagah aashirvaad dete hain aur be DEVA (sanyansi) se puchte ke aap viprit vavyahr kyon karte hain to DEVA kahte kee "Bura Insaan Nahi Balki Burai Hoti Hai". Aur Karura Singh bhi badlenge aur aap ko kise sankat se bachae ge. Par log unki baat par vishwash nahi karte.
:
Ish parkaar samay bitata raha aur ek din achanak Sajjangarh rajy par Himmatpuri ke rajkumar Gajender ne hamla kar diya aur Sajjangarh kee parja par zulm dhane laga, lootpat machane laga, tod phod karne laga. Jab raja Karura Singh ko ish hamle ka pata chala toh ve apne rajy kee rakcha karne ke liye chal pade. Raja Karura ne Gajender ki sena jo parja par julm dha rahi thi ko maarte kaat te hue rajkumar par aakarman kar diya. Ish parkaar bishan yudh chhid gaya aur raja Karura Singh apni parja kee rakcha karte rahe. Yudh ko chalte hue 3 din ho gaye. 4 din ke yudh main raja Karura Singh ne apni parja kee rakcha karte hue aage badte rahe. Partun rajkumar Gajender ne unhe dokhe se ghair liya aur un par apni talvar se vaar kiya. Jisse Karura Singh ghayal ho gaye. Partun jaise hi ve sambhlate usse pahle hee rajkumar ne un par dusra parhaar kar diya. Ish se raja Karura Singh marnashan sithti main pahunch gaye. Partun raja Karura Singh ne marte marte rajkumar Gajender ka sar dhad se alag kar diya aur usse apni parja kee rakcha ke. Ush samay vanha DEVA (sanyansi) aaye aur unhone kaha kee dekho maine kaha tha n kee "Bura Inshan Nahi Burai Hoti Hai" aur raja ne aaj aapki rakcha karte hue veergati pai hai aur aapke liye hi unhone aaj apna sarvsav loota diya. Ush waqt parja ne apne sab dard bhulla diye aur unhone raja se mafi mangi. Partun ab Karura Singh saheed ho chuke the aur burai bhi.

- Vijender Godara
.
"Sammapat"
Please comments and like this story.

जानकारी कैसी लगी पोस्ट पर अपनी अवश्य प्रतिक्रिया देवें
धन्यवाद...
EmoticonEmoticon